

Reliance Jio ke Free data plan ke introduction ke baad India ke telecom sector me jo bahut bada change aaya tha, wo abhi bhi jaari hai. Is ladai me Reliance Jio ne apne competitors ko filhaal, kaafi peeche chor diya hai. India ke major telcos ko, including Airtel, Vodafone Idea, Tata, bahut bada jhatka laga tha jab October 24, 2019 ke Supreme court verdict me, incompanies ke total AGR dues ko 1.46 lakh crore gina gaya tha. Indian Government aur regulatory authority ne isse pehle Telecom companies ke Adjusted gross Revenue (AGR) related dues ko recalculate kiya tha, isme government ne inke non-core business ko bhi Gross Revenue ke under laake total dues ko count kiya tha. Ye amount 1.46 Lakh crore tha. Supreme court me in Telecom companies ne case file kiya tha lekin wo case ka faisla, government ke favor me hua. COurt ne order diya tha ke Telecom companies apne AGR dues ka payment jald se jald karein. Itna bada amount ka payment difficult hone ke wajah se December ke baad se Telecom companies ne apna Tariff badha diya tha. Lekin usse bhi remaining dues pay karne me Vodafone Idea sabse peeche rahi. Iske baad, revenue generation ko fast forward karne ke liye Airtel aur Vodafone Idea ne premium plan ka announcement kiya tha recently. Lekin Reliance Jio ke ek chitthi se firse Vodafone Idea ke is plan pe bhi rok laga diya gaya hai. Kya hai ye premium plan? Kya is failure ke baad Vodafone IDea ka business porri tarah se band ho sakta hai? India ka Telecom segment ka One Company Monopoly ban jayegi? Jaan ne ke liye poora video zaroor dekhiyen.
Indian Government ke hisaab se, Telecom companies ka total AGR dues hai 1.46 Lakh crores. In me se Airtel ka total dues hai 37,740 Crores. Airtel ka claim hai ke ye amount 13000 Crore hai. Ab tak Airtel ne total 18000 crore ka payment kar diya hai jisme 5000 Crore ka Buffer payment included hai. Is hisaab se Airtel ek better position me hai. Tata group ka AGR dues tha 11625 crore, jisme se Tata group ne 4197 crore ka payment kiya hai. Reliance communication, jo filhaal insolvency ke procedure se guzar rahi hai, uska total AGR dues tha 21135 crore, isne sirf 3.96 Crore pay kiya hai. Sabse bure haal me dikh rahi hai Vodafone IDea. Vodafone Idea ka AGR dues, TRAI ke mutabik 53000 Crore hai, Vodafone IDea ka khud ka assessment hai 23000 crore, isme se company ne 3500 crore ka payment kiya hai Government ko. Lekin Vodafone Idea ne March me announce kiya tha ke agar uske bank securities ko government invoke karti hai, dues ke payment ke liye, to wo company band kar degi. Government ki taraf se iska koi confirmation nahi aaya hai ab tak.
AGR dues aur jio ke saath competition me customer loose kar rahi vodafone idea aur Airtel ne December se hi apna Premium plans ka announcement kiya tha. Vodafone ne isko Vodafone Redx ke naam pe aur Airtel ne isko Preferential 4G network ke naam se introduce kiya tha. Idea Nirvana ke postpaid customers ko bhi vodafone Red ke andar laaya gaya tha. Is plan me Vodafone ne 999 INR me unlimited data, unlimited calls, 1 year Netflix free, select international airports me lounge facilities aur international roaming me special rates ka announcement kiya tha. Ye fees ko May 2020 me 100 INR se badha diya gaya tha. AIrtel ka plan tha 499 and above waale postpaid customers ke liye high speed 4G network usage. Iske peeche main reason dono companies ka tha ke Average Revenue Per User (RPU) badhe aur company ko loss ke profit ka rasta dikha sake.
Lekin Reliance Jio ne July me ek letter likha TRAI ko, jisme usne Vodafone Idea aur Airtel ke premium plans ki investigation karne ki maang ki, unka kehna tha ki in plans ke wajah se normal customers, jo inplans ka part nahi hai, unko disadvantage hoga aur ye unfair practices ke andar aata hai. TRAI ne is letter ke baad July 11 ko Vodafone Idea aur Airtel ke premium plans ko block kar diya. TRAI ka manna tha ke ye plans existing customers ko poora information nahi deta aur kahin na kahin Net neutrality ke idea ko bhi violate karta hai.
Iske baad in Vodafone IDea ne Telecom Disputes Settlement and Appellate Tribunal (TDSAT) me appeal ki thi is verdict ke against. Lekin TDSAT ne bhi TRAI ke order ko sahi bataya hai. 16th July ko firse iska hearing hoga. 16th july ko jaise hi is case ke results aayenge, Vodafone IDea aur Airtel ke stocks me kaafi volaitility aa sakta hai. Kyun ki is case pe legal experts ka manna hai ke Telecom operators already high paying plans me better service de rahe the, ye premium plans usi ka extension hai. TRAI ne companies ko naye product design karne ki bhi freedom de rakhhi thi, fir achanak ek naya product aate hi bina explanation maange aisa verdict dena thoda ajeeb hai. TRAI ne premium [plans me jo existing customers hai, unke liye koi changes nahi bola hai, bas naye customers is plan ko subscribe nahi kar payegi. TRAI ne Vodafone IDea aur Airtel ko 2 week ka time diya hai, poore plan ko explain karne ke liye. Unka manna hai ke wireless domain me spectrum bandwidth limited hai, isliye ek group of customers ko agar preferential treatment diya jaye to baaki customers affect ho sakte hai.
Aapko yaad hoga ke isse Pehle Jio Ka Dhan Dhana Dhan plan jab kaafi zor shor se launch hua tha, tab doosre Telecom companies ke compains ke wajah se ye plan ko suspend kiya gaya tha. Kya Telecom sector me aisa hi kuch repeat ho raha hai? Kya ye vendetta politics se share market me effect hoga? Agar Telecom sector me monopoly hota hai, to Airtel, Vodafone saare shares ke liye buri baat hai. CUstomers ke liye bhi ek kuch acchi news nahi hogi, monopoly se market me kabhi bhi accha nahi hua hai. Filhaal hume is news pe nazar banaye rakhni hogi.
Sign in/up with Facebook
Sign in/up with Twitter
Sign in/up with Linkedin
Sign in/up with Google
Sign in/up with Apple
Wouldn't it be a good idea to create a course?